Tum bhi Khafaa ho, log bhi be-raham hain dosto
Ab ho chalaa yaqin, ke bure hum hain dosto
Kisko hamaare haal se nisbat hai kya karen
Ankhen to dushmano ki bhi purnam hain dosto
Apne siva hamare na hone ka gham kise
Apni talaash mein to hum hi hum hain dosto
Kuch aaj shaam hi se hai dil bhi bujhaa bujhaa
Kuch shahar ke chiraag bhi maddham hain dosto
Is shahar-e-aarzoo se bhi bahar nikal chalo
ab dil ki raunaqen bhi koi dum hain dosto
Sab kuch sahi 'Faraz' par itana zaroor hai
Duniya mein aise log bahut kam hain dosto ...Ahmed faraz
No comments:
Post a Comment