Doston Ki Shikayat Karoon Main
Yeh Bhi Mujh Ko Gawara Nahi Hai
Log Kaanton Se Bach K Chaltey Hain
Hum Ne Phoolon Se Zakhm Khaye Hain
Tum To Ghairon Ki Baat Kartay Ho
Humne To Apne Bhi Aazmaye Hain
Keedgi? Peergi? Ke Ghanay Hijaabon Mein
Hoor? Toor? K Chaand Jhilmilatay Hain
Zindagi Ki Udaas Raaton Mein
Bewafa Dost Yaad Aatay Hain
Doston Ki Shikayat Karoon Mein
Yeah Bhi Mujh Ko Gawara Nahi Hai
Doston Ne Karam Woh Kiye Hain
Zindagi Ki Tamanna Nahi Hai
Soch Ker Bewafa Mujh Ko Kahiye
Dhul Na Jaye Bharam Aap Ka Hi
Aazmaya Hai Dunya Ko Maine
Aap Ne Mujh Ko Parkha Nahi Hai
Ho Ke Betaab Mayyat Pe Meri
Tum Yeh Kyon Benaqaab Aa Gaye Ho
Umr Bhar Jis Se Parda Kiya Tha
Aaj Kyon Us Se Parda Nahin Hai
Aap Honge Wafaon Ke Maa'il
Aik Din Yeh Haqiqat Hai Laikin
Aap Ka To Bharosa Hai Mujh Ko
Zindagi Ka Bharosa Nahin Hai
Zid Na Ker Aaj To Ghoont Pe Lay
Zahidaan Tu Sharaab Pe Lay
Na Ker Tu Kuch Ijtinab Pe Lay
Mein Tere Maa'non Namaaz Parh Loon
Tu Mere Maan Sharaab Pe Lay
Zid Na Ker Aaj To Ghoont Pe Lay
Zindagi Chaar Din Ke Hai Pe Lay
Mohtasib Apni Qismat Bana Lay
Maikada Hai Yeh Kaa'ba Nahi Hai
O Husne Jana Aray Tauba Tauba
Kitne Fitnay Jama Kiyeh Hein Teri Aik Jawani Nai
Chaal Qamayat, Kaafir Nazrein,
Aankh Sharabii... Kia Kahiyeh!
Aray Tauba Tauba, Huns E Janaan
Zahid Nai Mera Haasil E Imaan Nahi Daikha
Rukh Per Teri Zulfoon Ko Pareshan Nahi Daikha
Tauba Tauba Husn E Janaa..
Shabaab Aaya Kisi Gul Per Fida Honay Ka Waqt Aaya
Meri Dunya Mein Banday K Khuda Honay Ka Waqt Aaya
Unhein Dekha To Zahid Nai Kaha, Iiman Ki Yeah Hai
K Ub Insaan Woh Sajda Rawa Honay Ka Waqt Aaya
Aray Tauba Tauba... Huns E Janaaan Tauba Tauba
No comments:
Post a Comment